XtGem Forum catalog

jeene ki nayi ada di hai
khush rehne ki usne dua di hai
aye khuda use sara jahan dena
jis dost ne apne dil mein thodi si jagah di hai


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>

laakhon ki sun kar tum ne taqdir savari hai
mujh se yahi kah dete ab ke teri zarurat nahi hai
Daali hai nazar jab se ek nashaa sa taari hai
kya koi pari shishe mein utari hai
kya us ko raaz ayenge jannat key hasi jalve
dehliz tere dar ki jis shakhs ko pyaari hai
virasat mein mili hum ko shaahi bhi faqiri bhi
aur gam to goya jagir hamari hai


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
KHUSHIYON PAR FIZAON KA PEHRA THA
NA JANE KIS UMEED PE DIL THEHRA THA
TERI ANKHON SE JHALAKTE DARD KI KASAM
YEH DOSTI KA RISHTA PYAR SE GEHRA THA

<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
TUJHE APNA MUKADDAR BATATE HAI HUM
KHUDA KE BAAD TERE AAGE SIR JHUKATE HAI HUM
DOSTI KA RISHTA TOD MAT DENA
IS RISHTE KE DUM PAR HI MUSKURATE HAI HUM
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
shabnam ke katron mein kaise khiza ke rang jhalakte hain
phoolo ke chehro se kushboo ke moti bikharte hain
hawao ki rawani se aati hai sargam kar rimjhim
jab pani ke lehron se voh atkheliya karti aati hai
pairon ke kitaron mein phir thandak bansane aati hai
jab suraj se mil kar sham suneheri ho jati hai
kuch mausam sapne lagte hain kuch mausam apne lagte hain
par dost mile tum jaisa to sub mausam sache lagte hain
zindgi ki tanha lehron mein jo dosti ke moti pirote hain
voh phoolon ki traha dil ki rahon ko mehkate hain

<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Karne Ke Liye dosti
Har Baar Kehta Hun Aap Ko
Ik Tum Aisi Ho
Ki Samajhti Nahi Mere Dil Ke Jazbaat Ko
Kyun Milti Ho Din Mein Mujhe
Kyun Satati Ho Raat Ko


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Kuch der aapka mera saath chalna baaki hai
Shamshan me jalta chhod kar mat jaana
Varna ruuh kahegi ke Ruk Jaa
Abhi tere dost ka dil jalna baaki hai


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Iss duniyaa ki bheed me bahut se yaar milenge
hum kya hum se bhi achhe hazaar milenge
in achhon ki bheed me hume bhula na dena
hum kahaan app ko baar baar milenge
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Andhere me tumhare haath ka chiraag hun
Tufanon me tumhare kashti ka sahil hun
Ae tanha dil tu kuch bhi kar le
Lekin main hamesha tere dil ke paas hun

<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
yun to zyada nahi bas itni si khwaish hai
ek pyar bhari dosti ki farmaish hai
maff karna jo hamari ye bhul hai
ehsaan apka hoga jo hamari dosti kabool hai


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
musafir ke raste badalte rahe
muqaddar mein chalna tha chalte rahe
koi phool sa haath kaandhe pe tha
mere saath sholon pe chalte rahe
mere raste mein ujaala raha
diye us ki ankhon ke jalte rahe
wo kya tha jise humne thukra diya
magar umr bhar haath malte rahe
muhabbat mein wafa bhi aur berukhi bhi
suna hai unhe bhi muhabbat ki hawa lag gai
jo phoolon pe karwat badalte rahe
hawaon ke jo rukh badalte rahe


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Chale gaye hain kuch pal ke liye
magar kareeb hain har pal ke liye
kaise bhulayenge aapko ek pal ke liye
jab ho chuki hai dosti har pal ke liye


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Aap pe qurbaan meri yaari hai
hans ke marjaaun is ki tayyari hai
silsila kabhi khatam na ho ye dosti ka
humne aap ko yaad kiya ab apki baari hai
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
DIL dil se juda nahin hote
yeh kisi par fida nahin hote
pyaar se bada koi nahin hota
pyaar se bada to dosti ka rishta hota hai
kyun ke dost bewafaa nahin hote


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>

<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Aadmi aadmi se milta hai woh hai dosti
Dost dost se milta hai woh hai pyaar
Pyaar pyaar se milta hai woh hai khushi
Khushi khushi se milti hai woh hai aaitbar
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Meri dosti Ke gulo ko jab jab chhu jaoge tum
Mehak se uski Madhosh ho jaoge Tum
Main to woh shakhs Hun Dost
Hakikat me jise Bhool Jaoge Tum

<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
AAJ DIL POOCHH BAITHA
APNI HI TASVEER SE
TUNE KYA PAYA HAI
APNI IS TAQDEER SE
AAPKI TASVEER DIL KE AAINE KO DIKHAI
OR KHA AISA DOST PAYA HAI
DUNIA KI BHEEAD MEIN


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Apni zindagi me hume sharik samajhna
koi gam aaye to karib samajhna
de denge muskurahat aansuon ke badle me
lekin hazaro dosto mein hume thoda aziz samajhna


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
dua karte hai hum sar jhukaye
Aye dost tu apni manzil ko paaye
agar kabhi teri raahon me andhera aaye
to roshni ke liye khuda hame jalaye



<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Kaun kehta hai ki log dosti me begane ho jate hain
Kaun kehta hai ki log dosti me barbad ho jate hain
Humse poocho kaun naadan log aisa samajhte hain
Ye wohi log hain jo sirf dosti me apne ko jarurat se jayada chalak samajhte hain


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Aadmi aadmi se milta hai woh hai dosti
Dost dost se milta hai woh hai pyaar
Pyaar pyaar se milta hai woh hai khushi
Khushi khushi se milti hai woh hai aaitbar
<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Meri dosti Ke gulo ko jab jab chhu jaoge tum
Mehak se uski Madhosh ho jaoge Tum
Main to woh shakhs Hun Dost
Hakikat me jise Bhool Jaoge Tum

<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
AAJ DIL POOCHH BAITHA
APNI HI TASVEER SE
TUNE KYA PAYA HAI
APNI IS TAQDEER SE
AAPKI TASVEER DIL KE AAINE KO DIKHAI
OR KHA AISA DOST PAYA HAI
DUNIA KI BHEEAD MEIN


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Apni zindagi me hume sharik samajhna
koi gam aaye to karib samajhna
de denge muskurahat aansuon ke badle me
lekin hazaro dosto mein hume thoda aziz samajhna


<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
dua karte hai hum sar jhukaye
Aye dost tu apni manzil ko paaye
agar kabhi teri raahon me andhera aaye
to roshni ke liye khuda hame jalaye



<>=<> <>=<> <>=<> <>=<>
Kaun kehta hai ki log dosti me begane ho jate hain
Kaun kehta hai ki log dosti me barbad ho jate hain
Humse poocho kaun naadan log aisa samajhte hain
Ye wohi log hain jo sirf dosti me apne ko jarurat se jayada chalak samajhte hain